Friday, November 26, 2021

Sai Mahima


 


Sri Satchitanand Sadguru Sainath Maharaj Ki Jai


Doha

Aadi adhar na pa kar naath ke , aadi naath kahe paataal,naath naath jag kahe,

jagan nath kahe bhoolok,aant na tera jaan ke, annant naath kahe swarglok,

aaisee param shakti ko ,vintee karay brahma vishnu mahesh, naath nathon ke ek

naath hain ,aiso kahe navnaath aise naath ko jag kahe jai jai sainaath.

sri sachdanand sadguru sai naath mahraj ki jai.

(MAHIMA)

Stanza1

Shri sai baba sai baba ,tumhi ho daata ek vidhata, 

tumhi the iisa issaiyon ke,naam palatkar ban gaye sai, 

hinduon ke tumee ho sriram, sai ram kah sabhee pukaren,

masjid mein tujh ko allah pukaren, nanak ghoonje har gurudwara,

aise baba jag mein aaye jin kee mahima koi na jaane.

 

Stanza 2

koi na jaane tera bachpan ,saal poore solah tak , 

jag uddhar ke liye prakat, ho gaye gaanv shridi mein, 

datta jaise kiye guru anek ,kabir gopal aur jaaver,

lallan palan kiye thhey gopal ,satya e diksha poori dee,

diksha siksha paakar poori, sai baba ban gaye,

sai shri ram ban gaye sai iisu ban gaye, 

sai allah ban gaye, sai nanak ban gaye,sai jagat mein chha gaye,

aise baba jag mein aaye jin kee mahima koi na jaane.

 

Stanza 3

virkhsh neem thha tera aashram ,lendi jangal tera bageecha ,

poshak teree fati kafni, sir ko saaje ek saafa, 

karon mein tere chhadi va krmandal, charnon mein tere jirin paaduka,

roop tera hai manohar, vaani jaisee murli manohar,

nayan hai teray prem say bharay, hirday hai tera daya say bhara, 

pathar hain tera sinhasan, chhithra gooni tera aasan, 

jeeern gooni tera bistar ,eeet hi tera sirhana,

aise baba jag mein aaye jin kee mahima koi na jaane.

 

Stanza 4

chaand bahi patil aaye balak sai baba ke paas, 

khoi ghori day kar baba, chimte say chillam jala diye, 

mahalsapati ko gyani bana kar, nana ko diya geetaupdesh, 

bayja bai ne udrat kar lee day kar khana tujh ko nirantar, 

dason ke daas hai das ganoo, ban gaye tere kirtankar, 

abdullah ne kee badi sewa, tan man de kar tujh ko apna.

aise baba jag mein aaye jin kee mahima koi na jaane.

 

Stanza 4

kadvay neem ko meetha kar ke, sidhhi pahili kayam kee ,

tel na paa kar paani hi say, jyoti uttam jalayee, 

neem kee pati dooni say udhhi, sab ko hardam dete thhey, 

shakti in mein aisee hoti,dukh saara har letee thhee, 

bhiksha laa kar paanch gharon se, usay sab ko dete thhe, 

aisay ussay dete rahte jo khatam na hotee thhee,

teray saathi deen dukhi jan,  aandhay langday shoodra va rogi, 

tumhi thhay un kay sachay saathee,  maat pita wah guru parmatma. 

aise baba jag mein aaye jin kee mahima koi na jaane.

 

Stanza 6

kushthh rogi bagoji shinde,aayee sai baba ke paas , 

jeevan bhar nij sewa mein rakh kar, unke rog ko haran liya, 

aamlipit rog wah haizaa, say baday hee peedit thay booti, 

dhooni say udhi dayker baba unko rog say muukt kiya, 

aatisaar kee beemari thee kaka mahajini ko, swasthh kiye unko baba moongfali khila kar,

baday hee peedit theay shyama, bavaseer rog say, 

daya kay saagar sai nay, haran liya bavaseer ko, 

chowdah varshon kay udhar rog say thay baday peedit dattopant,

harda ke aise dukhi ko dekhkar, unko rog say mukt kiya, 

bheemaji paatil mahanubhaav thee,  narayan gaaon ke shay rogi, 

aise bhyankar rog ko,  door kiya jagishwar ne.

aise baba jag mein aaye jin kee mahima koi na jaane.

 

Stanza 7

aajanu bahu ban kar aaye , vishva ko ashish dene ko, 

teeno lok ne ashsh paayee aise ajanu bahu say ,

pooray vishva ki raksha karne raat din baba jaagte thay, 

apni neend vah sab kuch tyagkar bahut he sewa karte thay , 

shirdi shetra mein rah kar baba vishva ki mahaan sewa kee

unsay bad kar mahaan tyagi koi na vishva mein janam liya, 

dwarkamai masjid thee,gurkul jaise gyan ashram, 

gyaniyon ka mela thha, hardam saiishwar ke paas,

desh videsh say aakar log, gyan vah bhakti paate thee, 

poorna gyani saiishwar , sab ko sab kuch dete thay

bhgawat geeta ko samjaya deputy collector nana ko, 

vishnu sahasranaam ko samja kaka sahib dixit ne, 

naath baghwat ko padte thee saiishwar say hemandpant, 

dixit jog vah b.v.dev ne gyaneshwari ka gyan liya,

gur charitra kaa paath karaya sri saathe say sai ne, 

upanishadon ka aarth bataya nij premiyon ko baba ne , 

kuraan sharif ke tatva ko samja abdulla ne sai say, 

sai premi mooulvi,  faatiha ko padte thay.

aise baba jag mein aaye jin kee mahima koi na jaane.

 

Stanza 8

latka kar ghanti masjid mein, masjid mandir ek kiye, 

namaj puja ban gaye ek, muslim hindu ho gaye ek, 

yeh hai agnee parsi ki, yeh hai dwar gurdwara,

ayse sai baba kah kar , vibhin jaati ko ek kiye.

aise baba jag mein aaye jin kee mahima koi na jaane.

 

Stanza 9

vishwa roop ka darshan diya, nijh bakton ko sai ne, 

poorna khandoba thay sai, mhalsapati kahte thay, 

ramdasiyon ne dekha, shirdishwar main ram ko,

pandarinath ka darshan diya, das ganu maharaj ko, 

srishti palak vishnu ko dekha, nyaaayadish rege ne, 

kailash pati shiv ko dekha, saishwar main megha ne, 

dashavtaron ne darshn diye, dwarkamai masjid main, 

aise darshan naath main pakar, naath ko vishwa ne maan liya. 

aise baba jag mein aaye jin kee mahima koi na jaane.

 

Stanza 10

alap aayu hi main baba, swecha maran pesh kiye, 

aadhi shankar jaise baba, deh apna tiyag diye, 

dheeraj vishwas prem se, sabne us ki raksha ki,

thik tisre din ke baad, jagrit ho gaye sai naath, 

jagrit ho kar jagriti kar di, har manav ko apni aur 

aise baba jag mein aaye jin kee mahima koi na jaane.

 

Stanza 11

mhalsa pati tatya patil, bade hi tere premi thay, 

sote jagte chalte phirte, saath hardam rahte thay, 

laxmibai mahalaxmi, nitya seva karti thi,

dekar unko rupaye nau, sari bakti de diye, 

vish se peedith shyama aaye, aise sai baba ke paas, 

vish ko turant door kiye, bhole shankar sai ne, 

pran bachai maindak ne, apne shatru ke mukh se, 

tha vah hukum baba ka, taal na koi sakta tha. 

aise baba jag mein aaye jin kee mahima koi na jaane.

 

Stanza 12

h.s dikshit m.b reghe, bade hi shikshit giyani thay, 

kuchh na pakar desh videsh main,  pas baba ke aaye,

aisi hasti shakti dekhi, arpan apne ko kar di,

maharogi ban kar aaye, kashi naath upasni,

baba nirog kar diye, upasni maharaj ban gaye, 

premi baybit ho uthe , jab haija aaya shrdi main,

dindayalu sai ne door kiya us haije ko. 

aise baba jag mein aaye jin kee mahima koi na jaane.

 

Stanza 13

nagpur ke baday hi dhani gopalrao booti thay, 

krishna murlidhar ke liye, booti vaada banayee, 

yeh hai esthaan sone ka mera, aisay baba kahite thay

jo bhi kahtay sai baba, hardam woh hi hota thha

unees sao athharah ke dashra kay dashmi mein, 

mangalwar kay din baba, jab bayasi saal ke lagte thay

lag bag dopahar adhhai baje, shirdi kee masjid mein,

BABA SACHMUCH SO GAYAY DUNIYA KE LIYE SO GAYAY , 

PAR BABA SARVATRA CHHA GAYAY, HARDAM KAY LIYE CHHA GAYAY, 

MASJID MEIN VAY CHHA GAYAY, SHIRDI MEIN VAY CHHA GAYAY, 

BABA SAB MEIN CHHA GAYAY,SAB KAY HIRDAY MEIN CHHA GAYAY.

aisi baba jag mein aaye jin kee mahima koi na jaane.

 

Stanza 14

chhayey hooay jaggte sai, ab bhee baba jaagte hain, 

sabhi dekhein pooray vishwa mein, ab bhi baba jaagte hain, 

sai baba hain satya aatma ,poorna aatma parmatama

sai baba kahte bhi thay yohi, mein hoon aatma parmatma,

aaise naath kee deh ko,  paane mein ho gaye baday matbed, 

hindu kahe hindu thay baba, muslim kahay thay baday peer, 

es kaa nirnaya ho nahi paya,naath kee deh ko paa gayey hindu, 

naath paray thay iis jaatee bedh say, jaise paray hai parmatama.

aise baba jag mein aaye jin kee mahima koi na jaane.

 

Stanza 15

 hindu muslim sikh eessai nay, adhbut samaadi banaee, 

es samadhi mein bhed na koi,  jaat paat wah oonch neech ka, 

shyam sunder tera ghoda,  bada hi tera premi thha, 

shraddha bhakti wah prem say, tujh ko pranaam karta thha,

shirdi wasiyon ney dekha samadhikal kay baad bhi ,

ashroodhara baha kar samaadi ko pranaam karta thha, 

satya hai naath ka kathan mein hoon jagrit samadhi par, 

es ki gawahi detay hai, sai apni vishaal moorti say, 

aisee moorti banayee talim, bambai kay murtikaar, 

jis kee sthpna kee thi unees sao chovan mein

 ahmadabad kay badey hi premi ,sai sharanand ne, 

baba hai jagrut jadh chetan mein, paayee to uun ko safal hai jeevan,

naath ko paa kar sab kuchh payee, uun ko na paa kar kuchh bhi na paayee, 

sai sevak guru NARAYAN kahe> ANANANT MAHIMA KI YEH CHHOTI MAHIMA, 

jo bhi padhay nitya nirantar, sab kuchh payee sai krupa say, 

sai krupa say, sai krupa say, sab kuchh payee sai krupa say. 

sai krupa say, sai krupa say(repeat 5 times). sabh kuch paayee sai krupa say.

 

                      SRI SACHIDANAND SADGURU SAINAATH MAHRAAJ KI JAI.